Friday, April 30, 2010

Bhagwat Geeta ka mahatva

Bhaktjano kayee baar mann me yeh sawal aata hai ki jab 4 ved hain, itne puran hain jo gyan ke bahut bade bhandar hain, to phir geeta ko itna mahatva kyon diya jaata hai.
Kya ved aur geeta dono alag alag vishay par baat karte hain ?
Kya geeta ko isliye mahatva diya jata hai ki woh swayam bhagwan shree krishna ke mukh se gaayi gayi hai ?

Nahi !

Dono ek hi baat kehte hain. Fark sirf itna hai ki ved seedhe gyan ki baaten karte hain jabki Geeta me na-samajh arjun ke prashno ko suljhate hue vedon ka saar kaha gaya hai. Saar dono ka ek hi hai. Arjun ne kayi sawal aise kare the jo kisi bhi agyani manushya ke mann me aate hain aur shree krishna ne unka samadhan kiya tha. Isliye jab hum geeta ka path karte hain to mann me uthne wale kayee sawal ke jawab mil jate hain.
Vedon me samved ke kuch ansh uplabdh nahi hain jabki geeta ke sare ansh uplabdh hain.

Bhaktjano gyan param nirmal hota hai ! woh kabhi sahi ya galat nahi hota hai phir woh chahe ved se mila ho ya geeta se ya phir apna kudh ka anubhav ho. Lakshya sirf us saar ko samajh kar moksha prapt karne ka hona chahiye varna gyan ka hona sarthak nahi hoga.

Thursday, April 29, 2010

Intoduction

Bhakt jano ishwar ki kripa se yeh blog main aaj shuru kar raha hoon. Granthon me bhakti, Gyan aur ishwar manan ko sreshta mana gaya hai. Jahan gyan ki khoj sansari ke liye bahut kathin hoti hai wahin ishwar manan aur prabhu ka chintan usi sansari manushya ke liye vardan sabit hota hai.

Main apne aap ko is layak nahi samajhta ki pravachan de sakun, isliye is blog ka uddeshya ishwar ke bare me manan karna aur gyan ki baton ko ek dusre se batana rakha hai.

Bhagwat Geeta ko is sansar ka sabse sreshta gyan ka sroth mana gaya hai aur hum log usi ki kripa se bhakti aur gyan ke marg par chalenge.

Main aasha karta hu ki bhaktjan bade utsah ke saath apne vichar aur anubhav mere saanth batenge.

Yeh blog shuru karte waqt mere man me jo vichar aa rahe hain who main shree Vinod Agarwalji ke ek bhajan se vyakt karna chahta hu.

“Mera aapki kripa se sab kaam ho raha hai !

Karte ho Tum Kanahaiyya, mera naam ho raha hai !”

Jai Shree Krishna.