Pichle ank ki charcha ko aage badhate hain aur baat karte hain ki kaise dukh/dard ko sehan karte hue us ishwar ko prapt kiya ja sakta hai. Pichle ank me maine baat ki thi ki Shree Krishna samjhate hain ki dukh/dard aani/jani hain, inhe sehna padta hai. Lekin phir bhi baat kuch samajhme nahi aayi. Jab zindagi inte maze se chal rahi hai to faltu mein dukh/dard sehne ki zarurat hi kya hai. Moksh ki prapti karke kya milega. Hum to vaise bhi sukhi hain to phir kyon is jhanjhat me pade. Baat bilkul sahi hai sahab. Hume aisa isliye lagta hai ki hume puri baat ka pata hi nahi hai. Hum jis zindagi ko jee rahe hain woh to pichle janm ke karmon ka fal hai. Humne kuch acche karm kiye honge isliye hume is janm me itni acchi zindagi mili lekin kya hum is janm me aisa kuch kar rahe hain jis se humara agla janm accha beete. Chalo maan bhi liya jaye ki aap aisa kuch kaam karte bhi hain jis se apka agla janm bhi ekdum accha guzre lekin aisa aap kitne janm tak kar payenge. Sansar me vishayon ki kami nahi hai jo apko bhog me lipt na kare. Paise/sundarta/keerti(fame)/family/etc etc ka ghamand apko kahin ka bhi nahi rahne dega. Koi to galti karoge jo aap par bhari padegi. Yahan par galti se matlab kisi ka murder ya chori se nahi hai. Galti matlab ki aise karm jo apki ant gati ko niche ki taraf le jaye. Bhog usme sabse badi galti hai. Bhog matlab sex nahi hota hai. Bhog matlab sansar ke vishyon me is had tak ramm jana ki unse bichadne par vyakti dukhi ho.
Shayad apke mann me phir se sawal aa raha hoga ki aisa kaise ho sakta hai, kya mujhe business me loss hoga to kya mai dukhi bhi na ho, kya mere parents ke saanth koi hadsa hota hai to bhi kya main dukhi na ho aur agar hota hun to kya mujhe karmon ke fal ke naam par saja milegi. Yeh to anniyay hai. Is baat ko samajhne ke liye ek kahani suniye. Us par manan kijiyega. Apko bahut sari baatein samajh me aa jayengi.
Mujhe tennis me koi interest nahi hai. Main koi bhi tennis ka match nahi dekhta hun. Yahan tak ki mujhe yeh bhi nahi pata hai ki unme se abhi latest number one khiladi kaun hai. Koi haare ya koi jeete mujhe koi fark nahi padta. Ek din mera ek dost aata hai aur kehta ki yar ek game khelte hain. Aaaj ek tennis ka match ho raha hai aur agar usme se Player-A jeet jata hai to main tujhe ek hazar rupaye dunga aur nahi to tu mujhe dega. Mujhe lagta hai ki chalo accha hai, khelte hain. Match hota hai aur main haar jata hun. Main use ek hazaar rupaye de deta hun. Kuch din baad phir se match hota hai, dost phir aata hai. Is baar ek lakh ka bet lagata hun. Rakam badi hoti hai isliye har shot ke saanth meri saanse upar niche hoti hain. Aakhir me main haar jata hun aur depression me chala jata hun kyonki ek lakh rupaye mere liye bahut badi baat thi.
Ab aap zara sonchiye ki jis tennis ke kisi bhi match se mujh par koi bhi asar nahi hota tha usi tennis ke match ki wajah se main depression me chala gaya. Aisa kyon hua. Aisa isliye hua kyonki maine us match ke saanth apne mann ki kuch muradein bandh di. Main chahta tha ki main us match ki wajah se ameer ban jaaon. Isliye mujhe dukh is baat ka nahi hai ki tennis me kaun hara balki dukh hai mere paise haar jane ka.
Yahi baat aap apne rishton par lagu karke dekhiye, apke parents ek tennis ka match hain. Unse milne wala pyar, suraksha, etc woh ek lakh rupaye hain aur jab jaise hi woh milna band hota hai hume bahut bada jhatka lagta. Kuch din hum rote bilaktein hain aur jab hum apne aapko sambhal lete hain to phir se normal zindagi jeene lag jate hain. Isiliye un logon ko koi dukh nahi hota hai jo apne parents ko nahi chahte hain. Kyonki yahan par apne parents ke rehne/na rehne se fark nahi pad raha he, asal me fark apni mann ki muradon ki wajah se pad raha hai.
Aapke mann me phir se sawal aaya hoga ki apne parents se to sabko pyar hota hai, yeh to natural hai. Is baat ki tennis ke match se tulna karna sahi nahi hai. Lekin aapko yahi to jankari rakhni hai ki jab is dharti par pehla manushya aaya tha to use kisi se koi lagav nahi tha. Aaj bhi aise kayi prani hain jinhe apne bacchon se ya phir apne mata pita se koi lagav nahi hota hai, jaise koyal udna sikhte hi apne mata pita se dur ho jati hai. Saanp apne hi bacchon ko kha jata hai. Aise kayi prani hain jinka udhaharan de sakta hun. Jise aap natural samajh rahe hai woh natural na hokar apke kayi hazar salon ke sanskar hain. Ishwar ne apko unki taraf se aisa koi gunn nahi diya hai. Jo kuch aap apni is zindagi me karte hain, uska saar hi aapke genes bankar apke bacchon me jata hai aur apke sanskar apke bacchon ke liye natural gunn ban jate hain. Dharti par pehle manushya ko apne mata pita se utna pyar nahi raha hoga, lekin genes ki wajah se thoda thoda karke kayi janm lene ke baad woh gunn hume natural lagne lag gaya hai. Yahan par sanskar ka matlab hota hai ki jo aap is janm me karm karte hain, jaisi aapki sonch hoti hai, vaisa aapka vyaktitva ban jata hai. Yahi apke genes ke duara apke bacchon ko milta hai. Aise pidhi dar pidhi chalta rehta hai. Jab aapki mrityu hoti hai to yehi sanskar vaise ke vaise hi apke agle janm me apko milte hain. Kuch nahi badalta hai.
Aam insaan yeh sab nahi samajh pata hai lekin Shree Krishna to apko janm janmantar se jante hain. Woh to samajhte hain ki yeh sab mann ka khel hai. Kisi ke rehne na rehne se kisi koi fark nahi padta hai. Yeh to apka mann apko aise nacha raha hai. Jaise koi film hume aaj acchi lag rahi hai, dus saal baad humari sonch badal jane par wahi film hume acchi nahi lagti hai. Film to waisi ki waisi hi rehti hai lekin mann badal jata hai. Aise nirantar badalte hue mann ke bharose hum kyon aise karm kare jo hume aage chal kar taklif me dalne wale ho.
Shree Krishna, Arjun ko yahi samjha rahe hain ki yeh dukh/dard sab mann ki aaj ki isthithi ki wajah se hai, mann badla aur yahi dukh, sukh me badal jayega. Is nirantar badalne wale mann ki wajah se apne kartavya se mat palto.
Bhaktjano maine puri koshish ki hai ki apko pichle ank me diye gaye Bhagwat Geeta ke shlokon ka matlab aasaan bhasha me samjha sakun. Agar apko koi bhi baat galat lagi ho to kripya mujhe batayein, main uska samadhan karne ki koshish karunga.
Jai Shree Krishna.
really i appreciate you
ReplyDeletethank you
Aapne ye series beech mein kyon rok di .Sach me ithna depth hai aap ki baaton mein .Bhagwan hamari nayya paar karne mein madad karo .
ReplyDeleteThanks for your kind words. I stopped it because I started this to exchange ideas on Bhagwat Geeta but readers were not posting their comments though they were reading this. Now I think I should start it again.
DeleteThanks a million .... i am so happy to see you back . i think yours is the most clear and understandable explanations of bagawath geeta . please please do not stop .
Deletethank uh soo mucch...aapne itna kuch bata dia...aaj maine 1s tym aapka blog dekha...main sach me bahut tension me thi ....magar yeh saari baate padh kr mujhe bahut kuch samajh me aya....nd now i feel better...thnx alot.... god bless you
ReplyDeleteThanks for your kind words.
Deletedhanyavad, apne jo gita ka saar vistar se bataya ha wo mujhe bara achha laga isse pehle mujhe gita ka kabhi bhi arth samajh nahi ata tha or ma ek ya 2 words per ker hi gita rkah deta tha apne humari practical libe ko base bana ker gita ka arth batane ki kripa ki ha , please ye praiyas jari rakheye
ReplyDeleteHi thanks for this blog. It realy help me alot. Please bataie maan ke echao ko kaise roke jo badalte rahte hai.
ReplyDeleteRekha sharma from chandigarh
Dear Rekha,
DeleteThis subject is very big to explain in few lines.
Aap adhyatm aur practical life me ek balance bana kar rakhiye. Dono hi zaruri he. Kayi log practical nahi hona hi adhyatm samajh lete hain. Aap ye galti na kare. Dhire-dhire logic mann par havi ho jayega.
Ye ek bahut bada vishay he, ise yahan par samjha pana mushkil he.
vinay shukla manushay janm ka ek matra lakshay hai bhagwan ka bhajan nirantar satsang
ReplyDeletebest explanation !! Thanks Sir ji
ReplyDeleteAap ne is vyakhya me kha ki apno se pyar natural nahi. Lakin pyar to dunia ki neev hai. Baccha jese pyar nahi milta use personslity disorder ho jata he.
ReplyDeleteI appreciate you for ur efforts. Now I am going to purchase Geeta and will completely read it.
ReplyDeleteaap sabne geeta ka mtlb to jaan liya pr joo geeta ka rehes tha vo to btaya nhi
ReplyDeletemahabharat me five hi pandav kyu the
ReplyDeleteThis is really a awesome experience !!
ReplyDeleteThere are many doubts and problems in my life but unable to solve then and unable to find a solution .. can i ask u to make them understand according to geeta ???
How can i do
kya pyaar karna galat hai.. aur pyar karne k baad usko ghar aur samaaj k karan chorna kya ye galat nai samaaj pyar karne walo ko itna galat kyu samjhata hai jabki wahi samaaj radha krishna ki puja unke prem k roop me karta hai..pls is baat ko samjhayiye..
ReplyDeleteSir, mjhe y batye .. k hamara karm kharab ho to hme bura bhugtna padta h agle janam me...jise k bachpan se aapangta...va kai anya....lkin jo hm agle janam m bhugtate hai hme vajah to pata h nhi hota k akhir aisa kya bura keya tha hmne k is janam m aise stithi aayi....to hme saja anjane m kyu milti h...aise saja jiska gunah bhi hme nhi pata hota
ReplyDelete