Bhaktjano pichle ank ki charcha ko aage badhate hue baat karte hain mann par jamne wali parat(layers) ki. Us se pehle ek mithya dharana ke bare mein baat karna chahunga. Zyadatar log yeh mante hain ke manushya ya to adhyatm ke raste par chal sakta hai ya phir sansari ban kar rah sakta hai. Ishwar ne manushya ke jivan yapan ke liye yeh do raste diye hain. Lekin sach yeh hai ki manushya ko sirf ek hi rasta mila hai, uske paas koi CHOICE nahi hoti hai. Woh rasta hai adhyatmik marg par chalna. Aap kahenge ki yeh to koi baat nahi hui, sare sansar ke log apna jivan yapan kar rahe hain, usme se ba-mushkil kuch hi log honge jo adhyatm ko apne jivan me utar pate hain, to kya sare log sansari ban kar nahi reh rahe hain ?
Baat yeh nahi he. Is baat ko samajhne ke liye hum is desh ka udhaharan(example) lenge. Maan lijiye ki yeh desh ek sansar hai. Is desh ke liye kuch niyam kaide(law & order) bane hue hain. Hum chahe to ise maan kar ek acche nagrik ki tarah se reh sakte hain ya phir koi dusra raasta apna sakte hain. Lekin humare manne se ya na manne se koi fark padta hai kya ? Zara sochiye ki kya aap koi chori karenge to kya desh ka kanoon apko saja nahi dega, kya woh yeh maan kar apko maaf kar dega ki aap to dusre raaste par chal rahe hain. Nahi aisa kuch nahi hoga. Aap kuch bhi karen, mane ya na mane phir bhi aapka har kaam kanoon ke daire me hi rakh kar dekha jayega. Har kaam ke liye ek penal code bana hua hai court me. Bas yahi baat is srishti par bhi lagu hoti hai. Apke adhyatmik hone ya sansari hone se koi fark nahi padta hai, aapke har karm ka ek fal hoga jo apko bhogna hi padega. Chahe sansari bankar ya phir chahe adhyatmik bankar. Isliye is dharana ko mann se nikalde ki hum to sansari hain aur hum kuch bhi karenge to hume koi DISCOUNT milega.
Chaliye baat karte hain parton ki. Aap ko lag raha hoga ki main kin parton ki baat kar raha hoon. Phichle ank me likha tha ki apna swabhav apna na hokar kahin se liya hua hota hai. Baat samajh nahi aayi. Aisa kaise ho sakta hai. Ise samajhne ke liye apko gehrahi se apne mann ko tatolna hoga. Vedon me to kaha gaya hai ki aatma ka koi gunn nahi hota hai. Mann ke bare me bhi yahi kaha gaya hai ki mann nirantar sukh ki talash me rehta hai aur sukh milte hi usme ramm jata hai. Uska koi swabhav nahi hota hai. To phir hum kabhi khush mijaz to kabhi gussail to kabhi shant swabhav ke kaise hote hain.
Shayad abhi bhi baat samajh me nahi aayi hogi. Baat bahut seedhi si hai. Aatma ka koi svabhav nahi hota, mann sukh ki talash me rehta hai jo use sirf aatma me hi mil sakta hai kyonki bahar to sukh nahi hota, yeh baat to aajke mano-vegyanik bhi mante hain. To phir mann bahar kyon bhatakta hai. Woh isliye ki mann aur aatma ke bich me partein ban jati hain aur mann sukh se vanchit ho jata hai. Indriyon(senses) duara di gayi jaankari se mann bahar ki aur bhatakne lagta hai aur jo kuch bahar se seekhne ko milta hai voh buddhi ki madat se vaisa hi bartav karne lag jata hai jabki bahar uska koi kaam hi nahi hota hai. Aur jitna woh bahari vishyon ke bare main janne lagta hai utna hi unme ulajhta chala jata, aatma aur uske bich me utni hi duriyan badhne lagti hain. Uska apna to koi svabhav hota hi nahi hai. Ek bahut accha example to yeh hai ki humare kuch gunn to hume virasat me humare mata pita se mile hote hain, voh gunn to humare hote hi nahi hain phir bhi kitne humare se lagte hain. Yahi baat vedon me bhi batayi gayi hai ki jo bhi swabhav aap apna samajhte hain woh aapka hai hi nahi, sirf mukhauta hai. Aatma to nirgunn hai.
Bhaktjano in baaton ko samajhne ke liye thoda manan karna padega, yeh sab ek-dum se samajh me nahi aayengi. Imandari barte bina agar samajhne ki koshish karoge to kabhi samajh nahi aayegi.
Agle ank me Bhagwat Geeta ki charcha ko aage badhayenge.
Jai Shree Krishna.
good
ReplyDelete