Wednesday, May 26, 2010

Geeta chapter - 2.2

Tamuvach Hrishikesh prahasanniva bharat

Senayor ubhayor madhye vishidantamidam vachah !!!

Ashochyan anvoshochastvam pragyavadamch bhashse

Gatsun gatasumcha nanushochanti pandita !!!

Sanjay dhirtarashtra se kehte hain ki maharaj arjun ki baat sunkar shree Krishna arjun se yeh keh rahe hain. Shree Krishna arjun se kehte hain ki arjun tum un logon ke liye dukhi ho rahe ho jo is kabil nahi hain aur bhi gyani ki tarah baat kar rahe ho. Gyani na jeevit ke liye na mrit ke liye dukhi hota hai.

Bhaktjano shree Krishna ke much se nikle hue har shabd ek ved ke barabar hai. Shree Krishna to is trilok ke swami hain aur unse kisi ki koi baat chhupi nahi reh sakti hai. Arjun yahan par ek gyani ki tarah baat kar rahe the jo sahi aur galat ki paribhasha bata rahe the. Isiliye shree Krishna kehte hain ki tum ek gyani ki tarah baat kar rahe ho lekin phir bhi dhuki ho rahe ho, iska matlab to yahi he ki tum agyani ho kyonki gyani ko kabhi dukh nahi hota hai. Na jeevit ke liye aur na mrat ke liye.

Bhaktjano Aaj bhi is tarah ke monobhav hum dekh sakte hain. Hum kayee baar ek “Pattern” me baat karte hain jo sirf humne kahin se sikh liya hota hai aur jo humari apni sonch nahi hoti hai. Aap kisi se bhi puchiye ki chori karna galat hai sahi. Sare log yahi kahenge ki galat hai. Ab zara puchiye ki kyon galat hai to golmol jawab milega ki dusre ke paise par hamara hak nahi hota hai, chori karne se dusre ko dukh hota hai, etc etc. Par yeh koi nahi bata payega ki chori se chor ka kya nuksan hota hai, uska to faida hota hai to phir uske liye to chori acchi baat hi hui na. Lekin nahi humne yeh baat rat li hai ki chori karna galat hai aur bina sonche samjhe hum is baat ko mante chale jate hain. Chori ko galat kehne main hamara apna koi anubhav nahi hota hai aur yahi halat arjun ki thi. Woh dukhi ho rahe the to usme sirf kisi seekha hua ek pattern tha aur kuch nai.

Is tarah ki kayi batein hain jo humari ho kar bhi hamari nahi hoti. Kayi sari parat (layers) ban jati hain mann par, jinhe hatane ke baad hi hum apna asli swabhav jaan sakte hain. Jitni paratein banengi utne hi nakab bante chale jayenge. Aur in parton ko pehchane ke liye koi mahatma hone ki jarurat nahi hai. Bas apne mann ko imandari se tatoliye aur sari baat samne aa jayegi. Agle ank mein hum is vishay par aur bhi charcha karenge.

Jai Shree Krishna

2 comments:

  1. Bhagwat gita mentions a lot of Purv janam.

    Then why no story of the Great Karna.
    What wrong had he done to others that he got such a life in spite of being immortal.

    ReplyDelete