Saturday, May 8, 2010

Geeta chapter-1.1

Bhaktjano charcha karte hain Geeta ke pehle adhyai ki. Is adhyai me rann bhumi kurukshetra par pandav aur kaurav sena, unki dasha, aur is yuddh ke mukhya patra Arjun, Krishna, Duryodhan, etc ki mano dasha ke bare me charcha ki gayi hai.

Adhyai shuru hota hai Dhirthrashtra ke puche sawal se, jinhe sanjay apni divya drishti se rann bhumi ke haal ki jaankari de rahe hain. Sanjay ko divya drishti mili hui thi jiski madat se ve kahin ka bhi darshan ghar baithe kar sakte the.

Dhirthrashtra puchte hain

Dharmashektra kurushektra samaveta yuyutsavah

Mamakah pandav caiva kimakurvata sanjay !!!

Dhirthrashtra sanjay se puchte hain ki mere putra jo yuddh karna chahte hain aur pandu ke putra dharmashektra par jama ho kar kya kar rahe hain.

Yahan par dhyan dene yogya baat yeh ki kurukshektra ko dharmashektra kaha gaya hai kyonki aisa mana jata hai ki kurukshketra ki bhumi par kadam padhte hi manushya me dharma ke prati jhukav aane lagta hai.

Hum aage is adhyai ki aur charcha karenge jo kul mila kar yuddh bhumi ki jhalak deta hai.

Jai Shree Krishna.

2 comments:

  1. good try, but try to put in readable form (explaining with story or diagrams) also it is better put it in hindi fonts if possible.

    ReplyDelete
  2. Thanks for the suggestion.
    Will definitely try to improve this. There are certain words that can be best expressed in hindi only and that is the reason for maintaining this blog in hindi. Will try to change the font to hindi.

    ReplyDelete