Saturday, May 8, 2010

Geeta chapter - 1.2

Drista tu pandavnikam vyudham duryodhanstada
Acharyam upasangamya raja vacambravit !!!


Sanjay, dhirthrashtra se kehte hain ki pandavon ki sena ko dekhne ke baad duryodhan apne acharya drone se yeh kehte hain.

Pasyaitam pandu putranam acharya mahatim chamum
Vyudham drupad putrena tava shishye dhimata !!!

Duryodhan apne acharya se kehte hain ke ek jhalak dekhiye pandavon ki sena ko jise drupad ke putra drishtdyumn ne panktibaddh kiya hai.

Is tarah se pehle adhyai me rann bhumi par mahabharat ke charitron ka ek tarah se introduction karvaya gaya hai. Is pure adhyai me duryodhan ne koshish kari hai ki apne acharya aur pitamah bhishm ko mansik rup se apni taraf rakha jaye. Unke mann me pandavon ke liye prem ko kamm kiya jaye.

Upar likhe duryodhan ke kathan se yeh saaf pata chalta hai ki unhone acharya drona ko uksane ki koshish kari hai. Drupad se drona ki purani ranjish thi aur unka naam sunte hi unko gussa aana svabhavik tha. Aur isiliye duryodhan ne drupad putra drishtdyumn ka naam lekar kaha ki pandav ki sena ko dekhiye.

Hum pehle adhyai ke sare uvach ki charcha nahi karenge aur sirf saar ko samjhne ki koshish karenge.
Ek baat to saaf hai ki aaj se panch hazar saal pehle bhi manushya me vahi kutilta thi jo aaj hai. Jis tarah se kalyug me bhai bhai ki ladai hoti hai, usi tarah se dwapar yug me bhi hui thi. Duryodhan ke kathan se yeh saaf pata chalta hai ki unke mann me pandavon ke liye zara bhi prem nahi tha aur wahi zahar ve dronacharya ke mann me bhi gholna chahte the.
Mahabharat ke anusar us yuddh me 40 lakh logon ki sena thi jo aaj ke hisab se bhi bahut badi hai. Zara sonchiye kitna bhishan yuddh hua hoga. Aur is yuddh ka kaaran kyat ha, sirf raajpaat ka laalach. Aur is laalach ke mahasangram me bhi moksh ka raasta dikhaya tha bhagwan shree Krishna ne.
Samajhna sirf itna hi hota hai ke ishwar prapti kisi yug ki mohtaj nahi hai, agar aap paap ke raste par chal rahe ho to koi satyug ya treta yug apka beda paar nahi laga sakta. Paapi to pehle bhi the aur aaj bhi hain, moksh hame unki wajah se nahi balki hamare karmo ki wajah se milega.
Yug ka mahatva kewal itna hota hai ki satyug/treta yug me apko acchi sangati aasani se mil jayegi aur aap bhalayi ke raaste par chal sakte hai lekin kalyug me dharm ke jaankar hi bahut kam hai isliye acche aur bure karmo ki samajh hi nahi hai aaj kal aur manushya paap karta chala jata hai. Agar dharm ko samajhna hai to apne aaspas ki gatnaon ko dekhiye aur usme chhipe hue marm ko samjhne ki koshish kijiye. Is dharana ko mann se nikal dijiye ki ishwar prapti to sirf us zamane me hi sambhav thi.

Hum koshish karenge ki hum Geeta ko kewal ratenge nahi balki usme kahi gayi baton se kuch sikhne ki koshish karenge. Apne andar apne mann me jhankne ki koshish karenge. Agli baar dusre adhyai ki charcha karenge.

Jai Shree Krishna.

4 comments:

  1. is this a story or a poem ./...

    ReplyDelete
  2. please clarify please ......

    ReplyDelete
    Replies
    1. This is not a poem, these are the discussions that took place at the battle field between the participants.

      Delete