Saturday, May 1, 2010

Gyan aur Tark (logic)

Bhaktjano gyan aur tark ki bahas bahut purani. Sadiyon se chali aa rahi hai.
Kya gyani ko tark nahi karna chahiye ?
Ishwar ne sabko dimag diya hai aur yeh dimag tark ke aadhar par kaam karta hai, to kya bhakti aur gyan kewal hriday ke vishay hain, dimag ke nahi ?

Bahas bahut purani hai aur gyani kabhi is bahas me hissa nahi lete hain. Gyan aur tark me bahut chota sa antar hota hai. Gyan jahan mul uddeshya ko dhyan me rakh kar baat karta hai wahi tark me mul uddeshya ka mahatva nahi hota hai. Is vishay ko hum is choti si laghu katha se samajh sakte hain.

Ek bar mathematics ki class chal rahi thi. Master sahab ne ek bacche se ek sawal pucha.
Ek parivar me char log hain. Mata, pita aur unke do chote-chote bacche hain.
3 roti hain aur unko char logon me bantni hai, batao kaise batonge ?
Bacche ne turant jawab diya, masterji charo logon ko paun roti dedo, barabar ho jayegi. Jawab ek-dum sahi tha. Usi class me ek Brahman ka ladka bhi tha. Usne uth kar kaha masterji kya aisa nahi ho sakta ke mata aur pita ko ek-ek roti dedi jaye aur bacchon me adhi-adhi roti bant di jaye. Bacche to chote-chote hain, adhi roti se unki bhook mit jayegi.

Bhaktjano gyan aur tark me bas yahi fark hota hai. Pehle bacche ne tark ke aadhar par jawab diya, usme karm ke mul uddeshya ka dyan nahin rakha jata hai. Roti bantne ka uddeshya tha bhook mitana jo usne nazar-undaz kar diya. Aur Brahman ke bacche ne roti ke mul uddeshya ka dhyan rakha aur sahi jawab diya.
Agar aap adhyatm ki kitabe padhte hain aur gyan ka saar nahi samajh pate to who kisi kaam ka nahi rehta. Gyan ka lakshya hota hai moksh aur us lakshya ko hamesha dhyan me rakh kar karm karne par na to dukh hota hai aur na moksh ke path se manushya bhatakta hai.

2 comments:

  1. Wonderful. After reading jarring blogs written by neo-converts to Christianism & Islam, finally itz a pleasure to read a blog by a Ram Bhakt.

    GARV SE KAHO HUM HINDU HAIN!!!

    ReplyDelete
  2. "Usi class me ek Brahman ka ladka bhi tha".

    So much taste of caste in it. The e.g. is good but it proves caste system is sick and spread even in educated people.

    ReplyDelete